Khanah Kabah 1979
Khanah Kabah pr
1979 main kya Beeti.
Jab Shetano nay
Khanah Kabah pr Hamlah kr dia tha.
Read And Share.
Watch This Video
YouTube Link
www.youtube.com/watch?v=R_RQ8iMWVaI
2nd Video
YouTube Link
http://www.youtube.com/watch?v=HwYe5Gzu05Y
Ye 20 November 1979 yeni 1st Muharram 1400 Hijri ki baat hai.
Subah
ki Namaz ki Imamt k baad Imam-e-Kabah, Ibn-e-Sabeel ek Dead Body ka
Janaza parhanay k liye abhi uthay hi thay k Achanak Kaslashankof k Brust
chalnay ki awaz aayi. Aur phir aglay hi lamhay “Jaheeman” naam k ek
shakhs nay Imam-e-Kabah se Mike cheen lia. Imam-e-Kabah nay Muzahimat ki
to Jaheeman k Sathyon nay unhay Torture kr k Khamosh kr dia. Ye sara
manzar Khanahh Kabah main ho raha tha. Namazi Shadeed Firing se preshan
ho k jab bahir ki traf bhagay to Jaheeman k sathi k tmam k tmam 51
Gate Lock kr chuke thay. Jaheeman nay Imam-e-Kabah se liye gaye Mike pe
kaha k hamara Hukam is waqt Makkah, Madina aur Jadda tk pohanch raha
hai. Mainn Elan krta hu k Imam Mehdi ka Zahoor ho chuka hai. Aur wo
meray sath hain. Ap log hamara sath dain. Jaheeman k Sathyon nay
Masjid-e-Haram main Namaz k liye aanay walon se Zabardasti kaam lena
shuru kr dia tha. Jawano se kaha gaya k wo Weapons ka Stock fori tor pe
Masjid k 292 Foot buland Menaaron pe ponhcha dain aur Boorhay Afrad se
kaha gaya k wo foran Masjid k Kaleen fold kr k 51 Darwazon k samnay dher
kr dain ta k Darwazay na khul sakain aur bahir se Army ya Police
Operation k liye andar na aa skay. Ab Soort-e-Haal ye thi k Khanahh
Kabah aur Masjid-e-Haram smait keyi Amaarton pe Jaheeman aur us k
Sathyon ka mukammal Control tha aur amlan Tawaf-e-Kabah pe Pabandi lag
chuki thi. Q k Tawaf ki soorat main Mazeed Jaanon k zayah honay ka
Khatrah tha.
Ap
k zehan main ek Sawal zaroor aa raha ho ga k itna Aslaha itni Security
honay k Bawjood Khanahh Kabah tk kesay ponhch gaya. Khanahh Kabah ki
Amart Masjid-e-Haram k Ahaatay ka hissa hai.
Jawab jan’nay k liye Topic “Bombay Attack 2008” Mulahiza karain.
26
Nov 2008 ko India k Shehr Bombay main Narwan Hotel pe Hamla hua tha jis
main 150 se zyada wo log mrray thay jin ka Ta’alukk
Israeel, France aur America se tha. Ye sub log Mosaad, C.I.A aur R.A.W k
Agent thay aur Hotel k Rooms main reh rehay thay. Dusray Alfaz
main Pakistan main
honay walay Khud Kash Bomb Dhamakon ka Main Head Quarter Bombay ka
Narwan Hotel tha. Kashmiri Mujahideen ko jab pata chla k Pakistan main
Khud Kash Hamlon k Master Mind Bombay main bethay hain jo yahan se
Target chun kr Doller Phenktay hain aur udhar 20 se 30 Lashain gir jati
hain. To Kashmiri Mujahideen nay Bombay pe Attack ka Faisla
kia. Bombay ka
Shehr Karachi ki trah Samandr k kinaray Abaad hai. Jis trah Karachi
main Rozana Hazaron Fisherman West waharif aur Fisheri se Machli lay k
puray Shehar main phel jatay hain aur Sham tak Sale kr k apni Rozi
kamatay hain. Bilkul isi trah Bombay b
Fishermano ki Jannat hai. Mujahideen nay Kafiron k Mohron ko Kuchlnay k
liye Fisherman ban’nay ka Faisla kia. Mujahideen Machli Mandi gaye aur
apnay Bags main Mojood Aslaha k upar Machliyan Khareed k rakh leen aur
baqi Fishermano k sath Shehar ki tarf chal paray. Mujahideen nay apnay
Mission k liye Fisherman ban’nay ka Faisla hi Q kia? Wo Tajir ya Wakeel k
Roop main apnay Target tak Q na gay? Meri Mulaqat ek aesay Mujahid se
huyi jo is Team ka hissa to nehi tha ta-ham is Hamlay k waqt
woh Bombay main
Mojood tha. Mainn nay us se yehi Sawal kia to us nay kaha k chaun k
Machli aur Machli k Sale Man se sub ko Smell aati hai aur log us Admi k
Qareeb b nehi Bhatktay aur na hi Security walay us Admi ko ya us k Bag
ko check krtay hain, so Mujahideen nay Shave krwa k Fisherman bannay ka
Faisla kia tha. Mujahideen Aslahay aur Machliyon se bharay Bag lay k
bina kisi Talashi k apnay Thikanay pe ponhch gaye. Aur phir kuch din
baad ek naye Roop main Dushman pe Hamla Awar ho gaye. Yaad rehay k ye
wohi Hamla tha jis main Ajmal Qassab Hero ban k samnay aaya tha.
Ye
waqya mainn nay is liye ap ko sunaya hai ta k Khanah Kabah tak Aslaha
kesay Ponhcha k Sawal ka Jawab ko samjhnay main Asani ho. Makkah main
log apnay mrnay walon ki Dead Bodies Tabooton main band kr k har Farz
Namaz k baad Khanahh Kabah k Ahaatay main latay hain ta k Imam-e-Kabah
is pe Namaz-e-Janaza parhha dain. Aaj b Imam-e-Kabah hr Farz Namaz k
baad Masjid-e-Haram main Janaza parhatay hain. 1979 main jin Dead Bodies
k Taboot Khanah Kabah main laye jatay thay un Tabooton ko Check nehi
kia jata tha. Jaheeman aur us k Sathi kafi din se na sirf Imam-e-Kabah k
peechay Namaz parh rehay thay balkay hr Cheez ki Nigrani b kr rehay
thay. Isi Nigrani main Lashon k wo taboot b thay jo without Checking aa
rehay thay. So Jaheeman aur os k Sathi keyi ek Tabooton aur Saman ki
Petiyon main Aslaha lay kr 19 aur 20 Nov 1979 ki Darmyani Shab ko
Masjid-e-Haram ponhch gaye. Aur Tabooton ko Mukhtalif jag’hon pe rakh kr
Subah honay ka intezar krnay lgay aur phir Subah ki Namaz k baad wo sub
kuch kr dia jo ap nay abhi parha. Khanahh Kabah k Ahaatay main mojood
Hakoomti Ahl-e-Karon k pass sirf Danday thay jo Biddaton ka Irtkaab
krnay walon ko Rah-e-Rast pr lanay k liye thay. Zahir ha k Dandon se
Klashankofon ka Muqabla nehi kia ja skta. Is Sarkari Ahl-e-Kar foran
bhaag gaye. Saudi Farman-Rwa Shah Khalid nay is Hamlay ki Itlah miltay
hi Puray Mulk k 30 Ulma ki ek Hangami Meeting bulayi aur un se pucha k
Makkah pe Hamla krnay walon k Leader nay Imam Mehdi k Zahoor ka Dawa kia
hai. Ap mujhay btayen k kya Imam Mehdi k Zahoor ka waqt aa chuka hai?
Kya jis Shakhs ka Naam Jaheeman nay Imam Mehdi k liye dia hai wo waqayi
Imam Mehdi hai? Shah khalid k Sawal pr Tmam Ulma nay Mutfika Jawab dia k
ye Shakhs Imam Mehdi nehi hai. Q k Imam Mehdi ki Nishani ye hai k wo
kisi b Be-Gunah ko Qatal nehi kray ga. Lekin Jaheeman aur us k Nominate
krda Imam Mehdi Muhammad Abdullah nay keyi ek Muslmano ko Bila-Waja Maar
dala hai. Ulma nay ye b kaha k Imam Mehdi k ek Nishani ye b hai k wo
aur Hazrat Isa (A.S) Iran k Shehr “Isfahan” se aanay walay 70,000
Yahudiyon se larain gay. Aur un 70,000 Yahudiyon ko Qatal karain gay.
Jab k is waqt to Isfahan main
70,000 Yahudi to kya 700 b Shayed nehi hain. Ulma ki tarf se ye Itmenan
kr lenay k baad Shah Khalid nay Jaheeman aur us k Sathiyon k Khilaf
Operation ka Faisla kia. Oepration k liye sub se pehlay Police ko
bheja gaya.
Lekin Police ko ek b Bullet Fire krnay ka Mauka na mila aur Police ki
puri Van apnay Soldiers smait Tabah kr di gayi. Jaheeman k sathi
Masjid-e-Haram k 292 Foot oonchay Menaron pe Qabiz thay aur un Menaron
se unhain puray Shehar ki Streets aur un main honay wali hr Harkat saaf
Nazar aati thi. So jesay hi unhain Police apni tarf aati dikhayi di,
unhon nay Beljiam ki tayar krda 600 Meter Range ki FN FAL naam ki Gun se
un ka Sfaya kr dia. Police ki Nakami k baad ab Army ko bulaya gaya.
Army ki tarf se Operation main hissa lenay k liye National Gaurd ki jis
Unit ka Intekhab kia gaya us
ki Command Major Shamoon k hath main thi. Is Unit nay Operation to bari
Mansooba-Bandi se kia tha lekin Operation k kuch Nuqaat k Leak Out
honay aur Baghiyon k Alert honay ki wajah se is Unit ka na sirf
Operation Intehayi Buri trah Nakam raha, balkay Unit apnay bohat se
Officers aur Jawanon se b Mehroom ho gayi. National Gaurd ki Nakami k
baad fori tor pr Tabook Rangers ko C.130 Jahaz k zariye Makkah
laya gaya.
Tabook Rangers ki is Unit ki Command Kernal Hameed kr raha tha. Kernal
Hameed se ek Saudi Shehzaday nay Planing k baray main pucha to Kernal
nay Fauji Lehjay main kaha k, Sir ap meri Planing nehi balkay mera
Result dekhiye ga. Kernal ka pehla Task Sfah aur Marwah k drmyan waqeya
us Galary ko Clear krna tha jo Hajiyon k liye Sfah aur Marwah k drmyan
Sa’ee ka Kaam deti thi aur ab Jaheeman k Sathiyon k Qabzay main thi.
Kernal Hameed Galary main Dakhal hua aur Shair ki Trah Baghyon pe
Jhapta. Kernal Hameed ka MuQabila 200 se zyada Baghiyon k sath tha.
Kernal Hameed ki Buhadri apni Misaal ap thi. Kernal Hameed ki
Kalashankof se nikli Bullets nay bohat se Munafiqon ko Thanda kr dia
tha. Baghi chaun k Andheray main thay, is liye wo Andheray ka Fayeda
utha kr Kernal Hameed ki Leadership main lrnay walay Tabook Rangers k
Jawano pe Pin Point Firing kr rehay thay. Isi doran ek Bhatki huyi Goli
Kernal Hameed ka Seena Cheerti huyi Guzar gayi aur wo Shaheed ho gaye.
Jab tk Kernal Hameed Zindah raha tab tak Tabook Rangers Chattan bani
rehi. Lekin jesay hi Kernal Shaheed hua Tabook Rangers Himmat Haar gayi.
Aur
foran Paspa ho gayi. Isi doran 23 November 1979 aan ponhcha. Ye Jumma
ka din tha. Islam ki Tareekh main pehli martba Khanah Kabah main Jumma
ki Namaz na ho ski. Khanah Kabah main Jumma ki Namaz ka na hona puri
World k Muslmano k liye Intehayi AfsosNak tha. Sadar-eePakistan General
Zia-Ul-Haq nay Shah Khalid ko Call kr k kaha k ap hamain mauka dain.
Mein Pakistan se
aesay Sher bhejon ga jo minton main un Munafiqon ka Sfaya kr dain gay.
Is par Shah Khalid nay kaha k ap ka Shukriya lekin meri Majboori ye hai k
aaj agar mein nay ap ki ya kisi b Mulk ki Force ko Hamlay ki Ijazt dey
di to Saudi Arab ki jab b Tareekh likhi jaye gi to Mo’arrikh yehi likhay
ga k Saudia ki 50,000 Army main itna b dham nehi tha k wo 200 Baghiyon
se lar sakti. Aur 200 se lrnay k liye 50,000 ki bahir se Foaj bulani
pari. Shah Khalid apni jaga durust tha. Baghi intehayi be-jigri se lar
rehay thay. Un k larnay k andaz se saaf lag raha tha k wo intehayi
Training yafta Army ka hissa hain aur unhain kisi Forein Country ki
Imdad hasil hai. Shayed isi Khayal k Pesh-e-Nazar Shah Khalid nay foran
Caneda ki us Telephonic Company se rabita kia jis nay puray Saudia main
Telephone k taar Bichhaye thay. Shah Khalid nay kaha k foran Saudia ko
baqi dunya se milanay walay taar Disconnect kr diye jayen. Company nay
is Hukam pe amal kia aur Communication System k anay k baad pehli martba
Saudia sari Dunya se Cut gaya.
Baad main phir se Taar Connect kr diye gaye. Masjiad-e-Haram main
Hazaron Muslman thay jinhain Jaheeman nay Yarghamal bnaya hua tha. In
main Imam-e-Kabah “Ibn-e-Sabeel” b thay. In Yarghamaliyon main
Indoneshia k log sub se zyada Jaheeman ko Tention dey rehay thay. Wo ek
to Arbi nehi samjhtay thay dusra wo Jaheeman ka kehna nehi mantay thay.
Jaheeman nay is Tention se jaan chhuranay k liye tmam Indoneshians ko
reha kr dia. Jab ye Indoneshian Yarghamali reha ho k ja rehay thay us
waqt Imam-e-Kabah b Roop badal kr un main Shamil ho gaye aur Jaheeman ki
Ankhon main Dhool Jhonk kr Masjid se nikal aaye. 3 Oprations ki
ykay-baad-deegray Nakami k baad Saudi Afwaj nay Baktar Band Garian Medan
main lanay ka Faisla kia. Agarchay Police, National Gaurd aur Tabook
Rangers in Operations main apna Target hasil nehi kr ski thi, ta-hum in
3ino Operations main inhon nay Jaheeman ki aadhi Power Khatam kr di thi.
Baghyon ki Main Power un k 292 Foot Buland Menarao main bethay sathi
thay jin ka Sfaya zruri tha. Is liye Saudi Afwaj nay Menaro par bethay
Munafiqon ko Kuchlnay k liye Mezail istemal krnay ka Faisla kia. Naye
Mansoobay k Mutabiq pehlay Menaro pe Mezail Fire kr k un main Mojood
Jaheeman k Sathiyon ko Khatam kia gaya. Phir Baktar Band Gari M.113 ko Galary main utara gaya.
In Baktar Band Gariyon nay Galary main Ghustay hi Tbahi Macha di. Baghi
jo Masjid-e-Haram k Menaro pe apnay Sathiyon ki Maut k baad bohat
Mayoos thay, in Baktar Band Gariyon ki Amad pe Himmat Haar bethay. Lekin
abhi tak Jaheeman aur Khud-Sakhta Mehdi Muhammad Abdullah Zinda thay.
Is liye unhon nay tmam Sathiyon ko Ikatha kia aur un main Himmat aur
Josh peda kr k un ko naye siray se Medan main
utara. Jaheeman k zyada tar Sathi Maray ja chukay thay. Is liye
Jaheeman bach janay walay Sathiyon ko Jangi Hikmat-e-Amli k tehat ek
The-Khanahy main ley ja kr Roposh ho gaya.
Bus chand ek Sathiyon ko us nay Galary main rehnay dia, ta-kay Baktar
Band Garion ko tabah kia ja skay. The-Khanahy main ek Kitchen tha jis
main wo Talba Khanah Pkatay thay jo Masjid-e-Haram main reh k Taleem
hasil krtay thay. Jaheeman ko wahan se Gas k Salandar aur Petrol k Cane
milay. Jaheeman nay Salandar Baktar Band Gariyon k Rastay main rakh
diye, ta-kay Gari us pe aa k Tabah ho jaye. Lekin aesa na ho ska. Ye
Mansooba Nakam dekh kr Jaheeman nay ek neya Plan apnaya. Jaheeman nay
chhotay chhotay Petrol Bomb bna k un ko Baktar Band Gariyon k andar
Phenkna Shuru kia. Ye Plan Kamyab raha aur Baktar Band Gariyon ki Pesh
Qadmi ruk gayi. Lekin Pesh Qadmi ruknay tak in Garyon nay Galary main
mojood tmam afrad ka Sfaya kr dia tha. Ab Baghi sirf The-Khanahy main
Mehsoor ho k reh gaye thay. Dushman ko The-Khanahy se Nikalnay k liye
Saudi Forces nay Aansu Gas k Shell andar Phenkay. Lekin Jaheeman k sathi
Gas se bachnay ka Intezam pehlay se kr chukay thay. The-Khanahy main
mojood Pani se Kapray ko Geela kr k Jaheeman k Sathiyon nay khud ko Gas
se Mehfooz kar lia tha. Isi doran Khud-Sakhta Mehdi Muhammad Abdullah jo
Masjid k ahatay main mojood tha, ki Maut ho gayi. Abdullah ki Maut ka
sabab ye bana k jab Saudi Forces Dushman pe Garnaid Phenk rehi theen to
jesay hi Garnaid Zameen pe Girta tha, Abdullah us k Phatnay se pehlay
Bhag kr usay uthata tha aur wapis Forces pe Phenk deta tha. Isi koshish
main 1 Garnaid us k hath main Phat gaya aur wo Mar gaya.
Saudi forces ko 2 Hukam Intehayi sakhti se milay thay.
1: Operation k doran Khanah Kabah ki Amarat ko koi Goli na lagay.
2:
Jaheeman aur us k Sathiyon nay jin Logon ko Yarghamal bana rakha hai.
un ki Jaan bachayi jaye. Is liye Saudi Forces Intehayi Ehtyat se Karwayi
kr rehi thi.
Dushman
ko The-Khanahy se Nikalnay k liye jab Ansu Gas Nakam sabit huyi to
Saudi LeaderShip nay France se C.B Naam ki wo Gas Mangwanay ka Faisla
kia jo Admi ko Be-Hosh kr deti hai. 2 December 1979 ko C.B Gas France se
Saudia layi gayi. Lekin ab Masla Gas k in Shells ko The-Khanahy main
Phenknay ka tha. Q k Jaheeman nay The-Khanahy k tmam Darwazay Mukamal
Band kr diye thay. Is liye in Shells ko The-Khanahy k andar Phenknay k
liye Saudi Forces nay Masjid-e-Haram k Farsh yeni The-Khanahy ki Chhatt
main Drill Machino se Sorakh kiye. Sorakh krnay k baad Saudi Forces nsy
un main C.B Gas k Shell phenkay. Shells k Phatnay se aesi Gas Kharij
huyi jis se tmam Baghi Be-Hosh ho gaye. Saudi Forces nay Barood lsga k
The-Khanahy ka Darwaza tora aur
The-Khanahy
main dakhil ho gaye. Andar Dakhil ho kar Saudi Forces nay na sirf tmam
Be-Hosh Baghyon ko Arrest kia bal-kay Yarghamaliyon ko b reha krwaya.
Yahan pe kuch log ek kahani bayan krtay hain.
Kahani
ye bayan ki jati hai k Is Operation main Saudi Forces se The-Khanahy
main Chhupay huye log nehi nikal rehay thay. Jab Saudi Forces nay tmam
Harbay istemal kr liye to Finaly unhon nay Pakistan Army ko Operation k
liye bulaya. Pakistan Army nay The-Khanahy main Pani chhora aur phir us
Pani main Currant yeni Bijli chhor di. Jis se sb Baghi bahir aa gaye.
Pakistan Army ki ye Mansooba-Bandi dekh k tmam Saudi Heran reh gaye.
Ye sari Kahani Jhoot hai.
Na to Saudi Forces nay Pakistan ko is Operation k liye bulaya tha aur na hi kisi nay wahan Pani chhora tha.
Ye Kahani Jhootay Logon k Bemar Zehan ki Peda-War hai.
4
December 1979 ko Masjid-e-Haram aur Khanah Kabah ko Saudi Govt nay
Clear qrar dia. Is Operation main Saudi Forces k 126 Jawan Shaheed aur
450 Zakhmi huye. Jab k 117 Baghi Halak aur 100 se zyada Girftar kiye
gaye.
Girftar
honay walon main Jaheeman b shamil tha. In sub pe Qazi ki Adalat main
Muqadma chala aur finaly un main se 63 Afrad ko Maut ki Saza sunayi
gayi.
9
January 1980 ko Saudi Arab k 8 Shehro main in 63 Zalimo k Sar-Kalam kr
diye gaye. Baqi bach janay walay Qediyon main se kuch ko Kam Umar honay
ki wajah se reha kr dia gaya aur kuch ko Shak ka Fayeda dey k chhor dia gaya. Jab k kuch ko Umar Qaid b mili.
Ab
raha ye Sawal k ye Baghi kon thay aur ye Sazish Q Wajood main aayi? Is
sari Sazish k peechay kis ka Hath tha? Kis nay Baghiyon ko Aslaha,
Training aur Paisa dia tha? Is Sazish k Maqasid kya thay?
In
tmam Swalon par 1995 tak Parda para raha. Lekin 1995 main Final
Operation main Hissa lenay walay aur Jaheeman se Investigation krnay
walay Captain Retired Abu Sultan ki ek Kitab Publish ho k Market main
aayi. Jis par pehlay Haftay hi main pabandi laga di gayi. Kitab ka naam
tha, “Mein Nay Dekha”. Is Kitab k ab sirf Iktasabaat miltay hain. Is
Kitab main us nay tmam Razon se Pardah uthaya hai. Wo Raaz kya thay.
Mulahiza krain.
Saudi Afwaj ko Training denay aur usay Jadeed Aslahay ka istemal Sihanahay k
liye Riaz, Jaddah, aur Damam main American Army Mojood thi. Ye aaye to
Saudi Afwaj ko Training denay thay lekin Androon-e-Khanah in k mqasid
kuch aur thay. In ka Maqsad Saudi Arab se All-e-Saud ki Islami Hakoomt
Khatam kr k wahan Western Tarz ki Hakoomt qayem krna tha.
(Jis trah Aaj kal Pakistan main American Army aur Davis jesay Sfart Kaar
Ba-Zahir
to Pakistani Afwaj ko Training denay aur 2 tarfa Talluqat Mazboot krnay
aatay hain. Lekin Pas-e-Pardah Pakistan k Zehni Bemar Logon ko Istemal
kr k Pakistan main Khud-Kash Dhamakay krwatay hain.)
Riaz main Qayem American Sfart Khanahy ko America ki
tarf se Free Hand mila hua tha k wo Saudia ki Islami Hakoomt Tornay k
liye wo sub kuch kray jo zaruri ho. Is liye American Sfart Khanah C.I.A k
Agenton ko mukamal Support Fraham kr raha tha. Jaheeman ki Shakal main America ko ek Commander mil gaya tha.
Ab ek aesay Shakhs ki zarurt thi jo Imam Mehdi ka Kirdar adaa kr skay.
Books main Imam Mehdi ki ek Nishani ye Bayan ki gayi hai k us k ek
Rukhsar (Cheek) pe Surkh Nishan ho ga. Ye Kirdar Dhoondnay k liye unhain
zyada mehnat nehi krni parhi aur Muhammad Abdullah ki Shakal main
unhain ye Kirdar b mil gaya.
Yaad rehay k Muhammad Abdullah k Left Gaal pe Pedayeshi ek Halka Surkh
Nishan tha. Europi Media nay is waqaya se pehlay Imam Mehdi ki Amad k
Hawalay se Muslmano k Nazriyat par Mushtamil kayi ek Docomentries Nashar
ki. Ek tarf Yahood Nawaz Muslim aur Non-Musilm Media Dunya ko Imam
Mehdi ki Amad k Bukhar main Mubtla kr raha tha to dusri tarf Jaheeman
Intehayi Razdarana Andaz main Muhammad Abdullah ko logon k samnay Mehdi
ki Hasiyat se Pesh kr raha tha. Media aur Jaheeman ki Tableegh se
Mutasir ho kar log Muhammad Abdullah k Hath pe Bait kr rehay thay. In
Bait krnay walon ki Tadad main Roz Broz Izafa ho raha tha. Jaheeman k
pass Logon ko Gumrah krnay ka main Hathyar Muhammad Abdullah k Gaal ka
Surkh Nishan tha. Log Abdullah ki Gaal k Surkh Nishan se Dhoka kha k us k
Hath pe Bait kar rehay thay. Hadees main hai k Imam Mehdi Yahudiyon se
Lray gay. Us Hadees ko Base bana k Jaheeman aur Abdullah nay apnay
Man’nay walon ko kaha k An-Qareeb Hamari Yahudiyon se lrayi ho gi. Us k
liye Tayari karain yeni Aslaha ki Training hasil karain. Followers foran
Training krnay pe Amada ho gaye. Abdullah k in Followers ko Israeli
Commandos nay Intehayi Jadeed aur Sakht Training di. Training k baad ye
Followers Dunya ki kisi b Jadeed Foaj ka Muqabila kr sktay thay.
Saudi Badshah Shah Khalid har Islami Saal k pehlay din ki Pehli Namaz
Masjid-e-Haram
main adaa krtay thay. Abdullah k Followers ki Tadad taqriban 300 tak
pohanch chuki thi. Agerchay ye Tadad bohat kam thi, lekin America ko 1st
Muharram ki Surat main ek Golden Chance mil chuka tha. Aur America is
Golden Chance ko Khona nehi chahta tha. Is liye America nay
Jaheeman ko Task dia k 1st Muharram ko Fajar ki Namaz Shah Khalid
Masjid-e-Haram main adaa kray ga. Is liye tum Masjid-e-Haram aur Khanah
Kabah pe Attack kr k Shah Khalid aur us k sath aanay walay tamam Sarkari
Wazeeron ko Maar dalna aur Hakumat pe Qabza kr lena. Ba-Zahir Mansooba
bohat Shandar tha lekin meray ALLAH ki Tarkeeb kuch aur hi thi. Raat
sonay se pehlay Shah Khalid nay apnay A.D.C (Sectry) se Next Day ka
Program pucha to A.D.C nay kaha k, Your Excelency! Kal New Islamic Year
ki First Date hai aur Kal ki Namaz-e-Fajar ap nay Masjid-e-Haram main
Imam-e-Kabah
k peechay adaa krni hai. Shah Khalid jo Riaz main tha, us nay apnay
A.D.C se kaha k Theek hai tum mujhay Azan se pehlay utha dena.
Mein Jahaz k zareeay Makkah ja k Namaz adaa kr lu ga.
Shah
Khalid Raat ko Soya to Subah tak Shadeed Bukhar main Mubtla ho chuka
tha. Subah A.D.C nsy Call kr k Shah Khalid ko uthaya to Shah Khalid nay
kaha k Imam-e-Kabah k peechay Namaz parhnay ka Program Cancel kr do. Q k
mujhay Shadeed Bukhar hai. Is liye mein apnay Mehal ki Masjid main hi
Namaz adaa karu ga. Shah Khalid smait koi b Hakoomti Ahalkar Namaz main
na aaya aur America ki Planing pe Meray ALLAH nay Pani pher dia. Qaidiyon nay Doran-e-Investigation tmam Raaz khol k rakh diye.
Lekin
jis tarah aaj Hamari Hakumat Raymond Davis k Mobile se Khud Kash Hamla
Aawron k tmam Raaz aur Pakistan tornay ki Sazishon ko Jaan kar Khamosh
rehi. Aur I.S.I ki tarf se Pakistan main Dehshat Gardi main America k
Mulawwis honay k tamam Saboton k Bawjood chup ki chadar tanay huwye hai.
Same isi trah us waqt Saudi Hukmran b America ya Roos k Khilaf Bolna
Inteha Darjay ki Gustakhi samjhtay thay. Is liye Raymod Davis ki trah ye
Sangeen Saneha-e-Kabah b Bhula dia gaya.
Is
Waqaye k doran Pakistan smait Dunya bhar k Islami Mulkon main mojood
American Safart Khano pe kya Beeti? Ye phir kabhi Publish kia jaye ga.
Q k Topic pehlay hi bohat Taweel ho chuka hai.
Is Topic ki Tyari main jin Books se Help li gayi, wo yeh hain.
1: Makkah Ka Muhasra.
Writer: Yaroslaf Tarfimof (Non Muslim).
2: 20veen Sadi K Aham Waqyat.
3: Ek Aur Karbla.
Writer: Ibn-e-Zaid.
S.M.C
No comments:
Post a Comment